Recent comments

Poll

Highest Users

UserPoints
shamali4560
Mujtaba1310
Billy650
maoo_o540
Moin_iyan360

Who's new

  • usman911
  • shshzaib
  • HafizSohaib
  • savitadhiya
  • i_feel_4u

Current weather

Lahore

night-clear
  • Clear sky
  • Temperature: 5 °C
  • Wind: Calm
  • Pressure: 1016 hPa
  • Rel. Humidity: 87%
  • Visibility: 2 kilometers
Reported on:
Tue, 01/06/2009 - 08:30

Adsense

PerfSpot

POETRY

Welll a typical topic it is............lets start every kind of poetry.......


Jawad's picture

wafa ruswa nhe kerna,kabhe

wafa ruswa nhe kerna,kabhe aisa nahe karna

main pehle hi akela houn, mjhay tanha nhe kerna

meri in jheel ankhoun me, kabhe sehra nahe kerna

judai bhe jo aye tu, dil mela nahe kerna

buhat masroof ho jana, mujhay socha nahe kerna

muqaddar phir muqaddar hai,koi dawa nahe kerna

jo likha hai wohi hoga, kabhe shikwa nahe kerna

haqeeqat hai milan apna, isay sapna nahe kerna

wafa ruswa nahe kerna,suno aisa nahe kerna!!!

Jawad's picture

sardiyo ki rato may jab

sardiyo ki rato may

jab samay bhi jamm jai

or dil ki bato may

arzo tehar jai

ajnabi musafir k

intazar ki shamey

sard sard jhonko se

pharpharaney lagg jain

apne sard shano per

rakh k sir ko matt rona

tum udas matt hona

Jawad's picture

waqt kitna guzar gaya jaana

waqt kitna guzar gaya jaana !

teri zulfo ki chhaoun ko chhoi

han magar phir bhi bekhyali may

jab khabi tera naam likhta hoon

ungliyan kanp kanp jati hain

Jawad's picture

Lakh koi thukra de sarey

Lakh koi thukra de

sarey wadey jhutla de

torr kar sabhi bandhan

rah-e-hijr dhikla de

phir bhi ass chahat ki

arzu muhabat ki

dil se to nahi jati ...!!!

Jawad's picture

"CHAAND OR MAIN" Chaand say

"CHAAND OR MAIN"

Chaand say main ne kaha ayy meri raaton k rafeeq

Tu ke sargashta-o-tanha tha sadaa mairi taraah

Apnay seenay main chupaaye hoye laakhon ghao

Tu dikhaway kay liye hasta raha mairi taraah

Zuufashan tera husn mairay hunar kii soorat

Aur muqaddar main andhairay ki Rida mairi tarah

Wohi taqdeer teri mairi zameen ki gardish

Wohi Aflaaq ka nakhcheer jafaa mairi tarah

Tere manzir bhi hain veeraan mairay khwabon jese

Tere qadmoon main bhi zanjeer-e-wafa mairi tarah

Wohi sehraa-e-shab-e-zeest main tanhaa safarii

Wohi veeraana-e-jaan dasht balaa mairi tarah

Aaj kiun mairi rafaqat bhi garaan hai tujh ko

Tu kabhi itna bhi afsurdaa na tha mairi tarah

.

.

.

.

.

.

.

.

Chaand ne mujh se kaha ayy mere pagal shaayerr

Tu kay mehram hai maire Qarya-e-tanhaayi ka

Tujh ko maloom hai jo zakhm mairi rooh main hain

Mujh ko haasil hai sharaf teri shanasaayi ka

Moujzin hai meri Atraaf main ek beher-e-sakoot

Aur charchaa hai faza main teri gooyaaii ka

Aaj ki shab mere seenay pe wo Qabeel utra

Jis ki gardan pe damakta hai lahuu bhai ka

Mairay daman main na heeray hain na sona chaandi

Aur bajiz is ke nahin shouk Tamannayi ka

Mujh ko dukh hai ke na lay jayen ye dunya walay

Mairi dunya se khazana meri tanhayaaii kaa

Jawad's picture

Shikast-e-Ehd koi aisa

Shikast-e-Ehd koi aisa saaneha to na tha

Tujhay bhi runj hua baat ek zaraa sii ka

Faraaz aaj shikasta para hun buut ki tarah

Main daivtaa tha kabhi aik daivdaasii kaa

Jawad's picture

Thehar ja aae

Thehar ja aae dil-e-nadan.........

k chal aahista aahista

abhi manzil hai door apni,

kathan kuch merhale bhi hain,

abhi raste mein khaiyan hain,

ghamon ki absharein hain,

hawadis ka jo sehra hai..........

use bhi paar kerna hai,

duaon ki ridaa ko sath lena hai,

sanmbhal ja aae dil-e-nadan......

k ziada taez chalne se

safar jaldi nahi ketta,

faqat itna hi hota hai,

k sansai phool jati hain

tanabain sabar ki phir hath se choot jati hain,

qanaat rooth jati hai,

Thehar ja aae dil-e-nadan.........

k chal aahista aahista..............

Jawad's picture

Har koi dil ki hatheli pe

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakkhe

kis ko sairab kare wo kise pyasa rakkhe

umr bhar kaun nibhata hai taalluk itna

aye meri jaan k dushman tujhe Allah rakkhe.

Jawad's picture

Ye hum tasleem kertey hain,

Ye hum tasleem kertey hain, t

umhey fursat nahi milti,

hamarey wastey tum ko,

koi sa'at nahi milti,

hamari soch k mehver,

kabhi ik pal to socho tum,

tumhey hum yad kertey hain,

aur itna yad kertey hain,

kay

khud ko bhol jatey hain....!

Jawad's picture

USE KEHNA ! tumhare hijar ka

USE KEHNA !

tumhare hijar ka be-dard mousam

mere aangan men dukh phaila raha hai

mere hoonton pe chup si lag gae hai

mujhe tanhaai dasne lag gae hai

USE KEHNA !

tere jaane ka mousam

aankh men tehra huwa hai

badan ek khoof men lipta huwa hai

tumhara hijar had se barh chuka hai

meri saanseen ukhaDti jaa rahi heN

men thak kar tootne waala hoN

men tum se raabta na tooD baithoN

kahen men hoosla na chooD baithoN

USE KEHNA !

KABHI MILNE CHALA AAI...!!!

Jawad's picture

Wo mujhe chahta nahi lekin

Wo mujhe chahta nahi lekin

naam mera kisi bahanese

uske hoton pe aahi jata hai

tirchi nazro se dekh leta hai

paas se jab kabhi guzarta hai

meri nazmo pe meri ghazlo pe

tabsera dosto me karta hai

wo mujhe............

Jawad's picture

Har eik lamha pehan k

Har eik lamha pehan k sadyoun ki shal guzra

laho ka mousam b ap apni misal guzra

hkayat e zabt e hijar buntay k ashk chuntay

guzar gaya jis tarha b ehad e wisal guzra

jo shab b aye wo hashar k din ko sath laye

jo din b guzra wo sham e gham ki misal guzra

gham e jahan ney badal dia hay mizaj apna

garan buhat ab k dil pey tera khyal guzra

nahen k tujh sey bichar k dunya ujar gaye ho

yehi k dil bujh gya zara sa malal guzra

hiras barod mout shanjoun ka khouf mohsin

na poch kitni azeyatön main yea sal guzra.!

Jawad's picture

Muskurane Se B Hota Hai

Muskurane Se B Hota Hai Bayaan Gham-e-DIL

Mujhe Ronay Ki B Adat Ho, Yeh Zarori To Nai...

Jawad's picture

mohabbat khwab ki surat

mohabbat khwab ki surat

nigahoon main uterti hay kisi mehtaab ki surat

sitary arzoo k is terhan say jagmagatay hain

k pehchani nahi jati dil e baytab ki surat

mohabbat k shajer per khab k panchi utertay hain

to shakhain jaag uthti hain

thakay harray sitaray jab zameen say baat kertay hain

to kab ki muntazer ankhon main

shamain jaag uthti hain

mohabbat in main jalti hay charagh e aab ki surat

mohabbat khwab ki surat

Jawad's picture

Agar hum dost hote tu,

Agar hum dost hote tu,

Karam ki intiha karte,

Tumhe palkoon pe rakhte hum,

Tumhe dil mein basate hum,

Agar tum rooth jate tu,

Tumhe kitna manate hum,

Jo milne tum nahin aate,

Tu aakar khud tumhe milte,

Tumhari larzishoon ko bhi,

Hansi mein hum ura dete,

Agar apni khata hoti,

Tu khud ko bhi saza dete,

Magar yeh sab jabhi hota,

Agar hum dost hote tu,

Jawad's picture

idher dekho yeh khamoshi

idher dekho yeh khamoshi

zara achi nahi lagti

kaho!!!

kuch tu kaho jana'n

rutein kaisay badaltien hain

baharein gum hoi kaisay

khizaan ka raaj kaisa hai ??????

chalo ik lafz ghalat fehmi

ya ik rishtey ki sachaaiee

muhabbat, dosti nafrat

kisi mauzo ko charein ham

koi tu raey do apni

koi tu silsila niklay

meray in sookhey baloo'n per

meri banjar si aankhoon per

meray in mailay dantoo'n per

chalo tanqeed kar dalo

sitarey aisi palkoo'n per

nahi jana nahi achay

tumhari tu ye! aadat thi

meri har baat par hansna

zameein per apni ungli say

arey kya likh rahey ho tum

suno tum say mukhatib hoon

mujhey dekho main kaisay hoon

agarchey mar gya hoon main

tumhara hukm mana hai

tu phir kis baat ka rona

tumhey tu muskurana hai

inhi ik do dinoo'n main tu

mujhey bas bhool jana hai........

Jawad's picture

Tum jahaan bhi raho sada

Tum jahaan bhi raho sada khush raho,

tumhe dil se main bhula rahi hoon ajj ...

tumharay pyar ki jo haseen yaadain hain dil main,

un yaadon ko louta rahi hoon aj ...

tumhari bewafai ka kya charcha karoon,

apni wafa pe sharma rahi hoon aaj

mujhe tumhari bewafai se koi shikwa nahi,

main tumhari zindagi se hi ja rah hoon aj ....!!

Jawad's picture

Tum jahaan bhi raho sada

Tum jahaan bhi raho sada khush raho,

tumhe dil se main bhula rahi hoon ajj ...

tumharay pyar ki jo haseen yaadain hain dil main,

un yaadon ko louta rahi hoon aj ...

tumhari bewafai ka kya charcha karoon,

apni wafa pe sharma rahi hoon aaj

mujhe tumhari bewafai se koi shikwa nahi,

main tumhari zindagi se hi ja rah hoon aj ....!!

Jawad's picture

A ksi roz ksi dukh per

A ksi roz ksi dukh per ikthay roain

Jistrah marg-e-jwan saal pay dehaton main

Borian ..rootay hoye bain kia kerti hain

Jistrah aik sia poch parinday kay kahin girnay say

Dar kat dar zaminon per utra atay hain

Chekhtay,shor mchtay karlatay hoye

Apnay mehrom rvaiyon ki alamnaki per

Apni tanhai kay weranon main chup ker rona

Ajnabiat kau gta toop sia garon main

Shhehar say door biabanon main chup ker rona

Aik naye dukh main izafay kay siwa kuch b nhi

Aik naye dukh main izafay kay siwa kuch b nhi

Apnay gumrah mqasid say wfa thik nahi

Apni hi zaat kay gunjal main ulaj ker yanha

Apnay gumra mgasid say wfa thik nahi

Kafila toor kay sehra main sda thik nahi

Hum parinday hain na maqtool hwain phir b

A ksi roz ksi dukh per ikthay roain…………….

Jawad's picture

abhii kyaa kahe.n abhii kyaa

abhii kyaa kahe.n abhii kyaa sunaaye.n

ke sar-e-fasiil-e-sukuut-e-jaa.N

kuf-e-roz-o-shab pe sharar numaa

vo jo harf jarf charaaG thaa

use kis havaa ne bujhaa diyaa

kabhii lab hile.nge to puuchhanaa

sar-e-sahar-e-ahad-e-visaal-e-dil

vo jo nikahato.n kaa hujuum thaa

use dast-e-mauj-e-firaaq ne

tah-e-Khaak kab se milaa diyaa

kabhii gul khile.nge to puuchhanaa

abhii kyaa kahe.n abhii kyaa sunaaye.N

yuu.N hii Khvaahisho.n ke fishaar me.n

kabhii be-sabab kabhii beKhalal

kahaa.N kaun kis se bichha.D gayaa

kise kis ne kaise ga.Nvaa diyaa

kabhii phir mile.nge to puuchhanaa

Jawad's picture

Ye Jo Zindagi Ki ~~ ~~

Ye Jo Zindagi Ki ~~

~~

Ye Jo Zindagi Ki Kitaab Hai ,

Ye Kitaab Bhi Kia Kitaab Hai

Kahin Ik Haseen Sa Khuwaab Hai

Kahin Jaan Lewa Azaab Hai

~~

Ye Jo Zindagii Ki Kitaab Hai ....

~~

Kahin Chaaw-n Hai Kahin Dhoop Hai

Kahin Aur Bhi Koi Roop Hai

Kahin Chehray Is Main Chupay Huvay

Ik Ajeeb Ci Ye Naqaab Hai

~~

Ye Jo Zinagi Ki Kitaab Hai ....

~~

kahin Kho Dia, Kahin Paa Lia

Kahin Rau Lia, Kahin Gaa Lia

Kahin Cheen Layti Hai Har Khushi

Kahin Mehrubaan Behisaab Hai

~~

Ye Jo Zindagi Ki Kitaab Hai ....

~~

Kahin Aansuwon Ki hai Daastaan

Kahin Muskurahaton Ka Bayaan

Kain Barkaton Ki Hain Baarishain

Kahin Tishnagi Behisaab Hai

~~

Ye Jo Zindagi Ki Kitaab Hai

Ye Kitaab Bhi Kia Kitaab Hai .

~~

Jawad's picture

aankhon ka rang, baat ka

aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya

woh shakhs aik shaam mein kitna badal gaya

kuch din to raha mera aks aayeena naqsh

phir yoon hua keh khud mera chehra badal gaya

jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay

to kya hua jo hum say zamana badal gaya

kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari

us nay churaya haath to sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jagah par nahi rahi

jatay hi aik shakhs kay kya kya badal gaya

ik sargoshi ki moj nay kaisa kya kamal

woh be-niaaz saara ka saara badal gaya

uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan

pardaah utha to saara tamasha badal gaya

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay

baaton mein apni baat ko kaisay badal gaya

kehnay ko ghar kay sehan mein deewar hi bani

ghar ki fizaa makan ka naqsha badal gaya

shayad wafa kay khel mein uktaa gaya tha woh

manzil kay qareeb aa kay jo rasta badal gaya

qayam kisi bhi haal pay duniya nahi rahi

taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

Jawad's picture

Tumhay Jab Kahain Milain

Tumhay Jab Kahain Milain Fursatain,Meray Dil Se Bojh Utar Do

Main Bauhat Dinoon Se Udas Hoon,Mujhay Koi Sham Udhar Do

Mujhay Apnay Roop Ki Dhoop Do K'h Chamak Sakain Meray Khal-O-Khad

Mujhay Apnay Rang Mai Rang Do Meray Saray Zang Utar Do

Kisi Aur Ko Meray Hall Se Na Garz Hai Koi Na Wasta

Main Bikhar Gaya Hoon Samait Lo,Mai Bigar Gaya Hoon Sanwar Do

Meri Wahshatoon Ko Barha Dia Hai Judaiyoun Ke Azab Ney

Meray Dil Pe Hath Rakho Zara,Meri Dharkanoon Ko Karar Do

Tumhay Subha Kaisi Lagi Kaho,Meri Khawahishoon Ke Dedar Ki

Jo Bhali Lagi To Yaheen Raho,Isay Chahatoon Se Nikhar Do

Wahan Ghar Main Kon Hai Muntazir K'h Ho Fikar Deir Savair Ki

Bari Mukhtasir Si Ye Rat Hai Isay Chandani Mai Guzar Do

Koi Bat Karni Hai Chand Se Kisi Shakhsar Ki Oat Mai

Mujhay Rastay Mai Yahein Kahin Kisi Kunj Gull Mai Utar Do..

Jawad's picture

Tumhay Jab Kahain Milain

Tumhay Jab Kahain Milain Fursatain,Meray Dil Se Bojh Utar Do

Main Bauhat Dinoon Se Udas Hoon,Mujhay Koi Sham Udhar Do

Mujhay Apnay Roop Ki Dhoop Do K'h Chamak Sakain Meray Khal-O-Khad

Mujhay Apnay Rang Mai Rang Do Meray Saray Zang Utar Do

Kisi Aur Ko Meray Hall Se Na Garz Hai Koi Na Wasta

Main Bikhar Gaya Hoon Samait Lo,Mai Bigar Gaya Hoon Sanwar Do

Meri Wahshatoon Ko Barha Dia Hai Judaiyoun Ke Azab Ney

Meray Dil Pe Hath Rakho Zara,Meri Dharkanoon Ko Karar Do

Tumhay Subha Kaisi Lagi Kaho,Meri Khawahishoon Ke Dedar Ki

Jo Bhali Lagi To Yaheen Raho,Isay Chahatoon Se Nikhar Do

Wahan Ghar Main Kon Hai Muntazir K'h Ho Fikar Deir Savair Ki

Bari Mukhtasir Si Ye Rat Hai Isay Chandani Mai Guzar Do

Koi Bat Karni Hai Chand Se Kisi Shakhsar Ki Oat Mai

Mujhay Rastay Mai Yahein Kahin Kisi Kunj Gull Mai Utar Do..

Jawad's picture

apnay ghum sai kaho har waqt

apnay ghum sai kaho har waqt meray saath rahay

aik ahsaan karo is ko musalsal kar do.

Jawad's picture

mairay pas teen cheezain

mairay pas teen cheezain hain

rait mujhay wirasatt mein milli

pattharr main nay mehnatt say kamaya

aur yeh thorri si dhoop mujhay sarrakk parr

parri hui milli

main nay rait say apni umr banayi

main nay pattharr apnay pait parr bandha

main nay dhoop say apna saya banaya

main apnay sayay mein jallta hoon

main kissi pairr ka ehsan nahin loon ga

challtay challtay aik din apnay sayay parr girr jaon ga

tumm mujhay meri rait mein dafn karrna

mera patthar mairay pait say kholl karr meri qabr ka

qatba banana

Jawad's picture

Kabhi tammana k raastoon pay

Kabhi tammana k raastoon pay nikal paro to

khayal rakhna

hawain,badal,fizayin,mausam,khayal

chehre badal badal kar tumahin milain gay

to lamha lamha badaltay rangoon k shookh dhokay main aa na jana

kabhi jo charoon taraf tumharay

kiran kiran apna khawab asa badan nikharay

zameen pay utray

to dhundlakoon main sama na jana

kabhi jo ankhon main chand has has k chnadni ka khumaar bhar day

to apni ankhain kahin kahla main ganwa na anna

k yeh na ho phir jo khawab tootay

dhanak dhanak ka sarab tootay

to jism-o-jaan pay azaab tootay

aur tum bah mushkil laraztay haathoon main

kirchee kirchee badan sanbhalay

kahin bulandi pay chaar kay arstee hoi nigahoon say

wapsee ka nishan dhondo

ujar gaya jo jahan dhondo

kabhi tamana k raastoon pay nikal paro to khayal rakhna

kahin say khali palat k anna

bohat kathiin hai

bohat kathiin hai

Jawad's picture

Gazal jo likhi hai par

Gazal jo likhi hai par kahoon kay say

Kisi ki baat kisi say kahoon kay say

Teri baat pay chup hai zamana

Teri baat par baat kahoon kay say

Suna hai wo koshiyon k dees say lota hai

Us say gham kay fasanay phir kahoon kay say

Na jaan saka tery dil ki baat ab tak

Tuj say apnay dil ki baat phir kahoon kay say

Jawad's picture

HAMARAY SARD HONTON PAR.

HAMARAY SARD HONTON PAR.

KISI BHI MUSKRAHAT KA,

ABHI LAMHA NAHI UTRA,

UDASI KI FIZA TABDEEL HONAY MAIN,

ZAMANAY BEET JATAY HAIN,

HAMARAY PAAS TOU YOUN BHI,

YOUNHI KHUCH SAANS BAQI HAIN,

TUMHARI JAWIDAN AANKHOON MAIN,

ZINDAGI KI ROSHNI AB BHI CHAMAKTI HAI,

ANDHAIRA HO TOU ROSHNI KITNI ZARORI HAI,

YAHAN TOU GHUP ANDHAIRA HAI,

YAHAN TOU GHUP ANDHAIRA HAI,

HAMAIN RASTA NAHI DIKHTA,

HAWA PATON PAY PAAON RAKH KAY CHALTI HAI,

TOU US KI CHAAP SAY BHI KHOUF AATA HAI,

KOI UMEED KA JUGNO HI BHAIJO TUM,

KAY RASTA DIKHAYEE DAY,

ZARA AAWAAZ HI DAY DOU,

SAFAR KI SIMT KA TOU KHUCH TAEEUN HO!!!!!!!

Jawad's picture

KISI KO ALVIDA KEHNA,

KISI KO ALVIDA KEHNA,

BOHAT TAKLEEF DAITA HAI,

UMEEDAIN TOT JATI HAIN,

YAKEEN PAY BE-YAKEENI KI,

KUHAR KHUCH AISAY CHHATI HAI,

DIKHAYEE KHUCH NAHI DAITA,

SUNAI KHUCH NAHI DAITA,

DUA KAY LAFZ HONTON PAY,

MUSALSAL KAP KAPATAY HAIN,

KISI KHUWAHISH KAY ANDAISHAY,

ZEHAN MAIN DORR JATAY HAIN,

GUMAN KUCH AISAY HOTA HAI,

KAY JAISAY MIL NA PAAYEN GAY,

YEH GEHRAY ZAKHM FURQAT KAY,

KISI SAY SIL NA PAYEEN GAY,

MAGAR AISA NA HO YA RAB,

TU DILOON KO JAN LAITA HAI,

DUAIN MAAN LAITA HAI,

JUDAI AIK PAL KI HO,

TOU KOI DIL KO BHI BEHLAYE,

JUDAI CHAR PAK KI HO,

TOU KOI KHUD KO BHI SAMJHAYE,

JUDAI UMER BHAR KI HO,

TOU KIA CHARA KARAY KOI,

KAY IK MILNAY KI CHAHAT MAIN,

BHALA KAB TAK JIYE KOI,

MAGAR AISA NA HO YARAB,

TU DILOON KO JAAN LAITA HAI,

DUAIN MAAN LAITA HAI,

TU KOI MOAJZA KAR DAY,

TU AISA KAR BHI SAKTA HAI,

MAIRAY HATHOON KI JANIB DAIKH,

INHAIN TU BHAR BHI SAKTA HAI,

KISI KO ALVIDA KEHNA,

BOHAT TAKLEEF DAITA HAI,

(AAKHI 2 SHAIRON MAIN MAIRAY KI JAGA "US KAY" AUR INHAIN KI JAGA "UNHAIN" KAR DIA HAI MAIN NAY)

FRIENDS APNA KIA HAI, HUM TOU HAIN HI TANHA,

BAQOOL FARAZ

MAIRI TANHA SAFRI TOU MAIRA MUQADAR HAI FARAZ,

WAGARNA IS SHEHR-E-TAMANA SAY TOU DUNIA GUZRI.

Powered By SEO ignition: Internet Marketing Company